गुरुवार, 12 जून 2008

SAAT SAMANDER PAAR SE


Usha Raje Saxena se meri mulakat kolkata ke book-fair(boi-mela) me hui thi koi char saal pahle. Uhsa ji aur unke pati se milane ka mouka dobara Gitesh Sharma ji ke JANSANSAR ki gosti me hua kolkata me hi.Vahi unki kuch kavitaye nasalwad par suni. Unse yah bhi maloom pada ki kis tarah se pardesh me rah kar bhi BHARATWASI kud ko BHARAT se jooda mahsoos karte hai.Aur unka yahi dar ya prem uneh yaha ki mitti se jode rakhta hai.Unke bebak bicharo se eisa lagha hai unki yahi bebaki unke lekhan me bhi hogi.. Phir unke sath bich -bich me email ke madhyam se ptrachar hote rahe. Usi madhyam ke karan aaj uni kitab "VAH RAT AUR ANYAKAHANIYA" ke lokarpan ka sandesh aap sab se batna chati hu. Jab apne hi desh me hindi ko doyam darje ki manyata di jarahi ho aise samay me jab saat samander par se hindi ke kisi kitab ke lokarpan ki khabar aati hai to aap logo se bate bina maan nahi maanta. Is lokarpan ke awasar par Rakesh Dube ( Hindi Officer, High Commission of India), Pragya ‘Surbhi’ Saxena, author ‘Vah Rat aur Anya Kahaniyan’- Usha Raje Saxena, Achala Sharma- author and Head of BBC World Service Radio (Hindi), Monika Mohata Director Nehru Centre, Writer and Critic Pran Sharma, Publisher-Mahesh Bhardwaj (India) Jutta Austin- Writer andTraslater sabhi upasthit the.Ab aap log bhi us karyakam ka rasaswad is se kar sakte hai.

कोई टिप्पणी नहीं: