शुक्रवार, 13 जून 2008

USHA JI SE MILNA GANDHI VIDHYA PITH ME



Usha Upadhyay ji se meri mulakat BAPU ki karmbhumi gandhi vidhya pith, AMEMDABAD me hui ek goshti ke dauran jiska ayojan unho ne kiya tha.Visay bahut vyapak the aur samkaleen bhi.Teen diwasiya RASTRIYA SAMBAD ka aayojan kiya gaya tha COMPERATIVE LITERATURE par.Mera vishay tha gandhi vichardhara se prabhavit upnayash par tulnatmak adhayan. Unke pure karyakram me ek anushashan tha,vidhyarathi unki puri nishtha se aapne kaam kar rahe the.Usha ji ne khud ek mahatwapurn kaam ko anjam diya hai wah hai 500 SAAL KI GUJRATI MAHILAOO KE LEKHAN KA SANKALAN.Is bhagirath karya ke liye ve badhai ki patra hai. Unse mera dubara milana DEV BHUMI HIMANCHAL ki ek KAVIYATRI SAMMELAN me hua.Wahi VYASH nadi ke samne hum goomne nikle.Unke ek putra aur ek putri hai putra journalism me abhi padarpan karne wala hai aur putri prayawaran anusandhan me.

कोई टिप्पणी नहीं: